Soch Me Pad Jaata Hun Yunhi Main Kabhi Kabhi
Khud Ki Khushnaseebi Pe Yakeen Hi Nahi Hota
Ki Koi Seedha Mere Khwabon Se Meri Zindagi Me Bina Dastak Diye Aata Hai Aur
Achanak Hi Uske Bina Zindagi Sooni Sooni Si Lagne Lagti Hai
Yakeen Hi Nahi Hota Iss Baat Ka
Ki Koi Itna Pyara Bhi Lag Sakta Hai
Khwaab Aur Haqeeqat Ke Beech Me Ab Farak Nahi Karr Pata
Saari Kainaat Ek Sunahre Sapne Jaisi Lagti Hai
Tabhi To Aksar Khud Ko Iss Baat Ka Ehsaas Dilane Ke Liye
Ki Tum Wakai Me Meri Zindagi Ka Ek Hissa Ho
Aur Ye Ki Main Khwaab Nahi Dekh Raha
Khud Ko Dard Deta Rehta Hun
Dard Ki Chubhan Se Main Jaan Leta Hun
Ki Aaj Ka Din Bhi Sachchai Hi Thi Mahaz Ek Spna Nahi
Par Uss Din Se Darta Hun
Jiss Din Main Iss Dard Ke Liye Sunn Ho Jaoonga
Shayad Uss Din Main So Jaoonga
Aur Tumhare Hone Ka Ehsaas Ek Khayaal Me Hi Simat Jayega
Lekin Uss Din Tak Main Issi Dard Ke Sahare Jiyoonga
Jo Ki Tumse Zyada Mere Dil Ke Kareeb Hai
Afsos To Sirf Iss Baat Ka Reh Jaata Hai
Ki Ye Dard Tumhara Diya Hua Nahi Balki
Meri Hi Awaragi Ki Upaj Hai
Aur Apni Awaragi Pe Mujhe Itna To Aitbaar Hai
Ki Ye Pal Do Pal Ke Saath Me Yakeen Nahi Karti
Ye To Mere Saath Mere Ant Tak Hi Rahegi
Aur Saath Rahega Wo Dard Jo Tumhara Ho Kar Bhi Tumhara Naa Ho Saka