Soch Baitha Yeh Main
Kee Main Hoon Kitna Dukhi,
Duk.Khon Se Bhara Hoon
Main Swayam Duk.Khon Kee Jheel Hoon.
Kitna Vyarth Tha Sochna
Bhul Gaya Tha Kyon Main
Sansaar Hain Duk.Khon Kaa Mela,
Kitna Chota Hain Mera Dard
Jo Meri Jeb Mein
Sama Sakta Hain Aaraam Se.
Dukhi Hain Woh Insaan
Jo ‘Do Rotiyon’ Ke Liye
Bhatakta Hai Din Bhar
Deta Firtaa Hai Aawaazein
Roti Ko Dar-Badar.Kitna Chota!
Kitna Oachaa Hai Mera Dard.
Dard Woh Hai Jo June Kee Tapti Dhup Mein
Chalaata Hain Rikhshaa,
Phutpaath Mein Paida Hokar
Marr Jaata Hain Sadakon Per.
Apne Dukh Ko Dukh Kehne Se Pehle
Kyon Nahin Jhaanka Maine
Jahan Woh Nanhe Se Bacchey
Jhagadtey Hain Roti Ke Liye
Taktey Rehtey Hain Chaand Ko
Ekk Roti Ke Aakaar Mein.
Kahan Dikhta Hain Mera Dard
Main Tow Vyarth Hee Apne Dukh Ko
Dukh Kii Upmaa De Raha Tha,
Dukhi Hain Sansaar Saara
Sukhi Hoon Tow Main, Haan Bas Main.