So Rahey Kab Sey? Abhi Bhi, Sanam, Naheen Jaagey?
Saheyj Lo, Jo Shafaq Dey Rahaa Hai Bin Maangey!!
Part Dar Part Ho Raheen Siyaahiyaan Gaayab:
Khouf Khaaou Na, Rah-E-Zeest Hai, Chalo Aagey!!
Azal Sey, Safar-E-Musalsal-E-Rooh* Jaaree Hai;
Lamhey-Lamhey Sey Guzartey Hain Muhtajib** Dhaagey!
Raah Mein Roo-B-Roo Huye Hain Koh-E-Reig Rawaan#;
Arsh Ney Bhi Mazeed Barq Key Goley Daagey!
Itnaa Aasaan Bhi Naheen Raah-E-Talab Par Chalnaa;
Pahunch Sakeygaa Wahee, Chhorh Kar Na Jo Bhaagey!
Na Rok Baad-E-Sabaa Khushbuoun Kee Zulfon Sey;
Wo Jaa Rahaa Hai, -Ë—abd-‘, Jis Key Jigar-O-Dil Laagey!
*‚  Continuous Journey Of Soul
** Secret
# Mobile Mountains Of Sand