“Siyasat Mein Aisa Manzar Aam Nahi Hai
Takhto Taj Ke Kuch Log Gulam Nahi Hai
Yun To Barson Se Phaila Hai Unka Wazood
Auron Ki Tarah Bederd ,Badnaam Nahi Hai

Siyasati Chalon Se Ghabrayein Hain Dil Sarey
Mohron Pe Lagayi Baaji Ab Gumnaam Nahi Hai
Jung-E-Haqumut Me Aisi Qurbani Ki Tareekhey!
Sare Jahan Mein Aisa Koi Gulfaam Nahi Hai
Cheenega Koi Kya Insaaf-E-Tajposhi Ko
Dekhne Walon Ko Ye Tamasha Sare Aam Nahi Hai
Maikhane Mein Suntey Hain Kissey Ab Siyast Ke
Nazron Se Chalke Hairot,Lab Pe Jaam Nahi Hai
Derne Ki Nahi Phitrat,Fikr Hain Hindostan Ki
Serhad Par Ke Bashindey Per Koi Ilzam Nahi Hai
Hain Aur Bhi Mukhoute Siyasat Ki Numayindon Ke
Aagaz Jinka Bagawat Magar’sona ” Anzam Nahi Hai