Sitaroon Ko Apna Humsafar Manti Thi Wo Pagal Larki
Asman Ko Apni Rah Guzar Manti Thi Wo Pagal Larki
Kehti Thi Sitaroon‚  Choo Lon Gi Main
Isi Arzoo Mein Bulandiyun Se Giri Wo Pagal Larki
Aik Bhi Sitara Us Kay Daman May Na Gira
Shab Baher Anchal Pehlaye Rahi Wo Pagal Larki
Ussay Samjaya Bohat Kay Sitaroon Ka Apna Jahan Hota Hai
Phir B Apni Zid Par Arrhii Rahi Wo Pagal Larki
Usay Samjaya Bohat Kay Sitaroon Ko Gina Nahi Kartay Payar
Phir Bhi Aksar Unhay Ginnty Rahi Wo Pagal Larki