Sirf Dil Ko Bahlane Ke Bahane
Dundhta Raha Hun Muskurane Ke Bahane
Har Shab Tujhe Yad Kiya He Mene
Teri Harek Baat Bhulane Ke Bahane
Sahara Se Bhi Zyada Rahta Hun Tanha
Masroof Khud Ko Dikhane Ke Bahane
Dale He Kante Har Bar Rah Me
Hamdam Ne Phool Bichane Ke Bahane
Phir Mere Zakhmo Ko Kureda He Usne
Khud Ko Mera Apna Jatane Ke Bahane
Zarurat Ke Waqt Sabhi Dost Mere
Banane Lage He Na Ane Ke Bahane
Ek Muddat Se Dil Dundh Raha He
Kuch Pal Hasin Banane Ke Bahane
Lahre Sar Patak Ke Behal Ho Jati He
Samundra Se Kad Ko Badhane Ke Bahane
Phir Ek Khwab Dafan Kiya He
Pani Se Aks Mitane Ke Bahane
Jhunjhlahat Utari He Mayus Man Ne
Ret Ki Deewar Girane Ke Bahane
Tamam Rat Bitayi He Yun Jagkar
Kabhi Shamma Jalane-Bujhane Ke Bahane
Kyon Itne Bahane Banate Ho “Rashid”
Chhote Se Dil Ko Samjhane Ke Bahane.