Silsila Air Bhee Kuchh Gam Kaa Badhaya Jaye
Iss Viran Jungal Ko Samunadar Se Milaya Jaye
Jis Mein Hum Log Charago Kee Tarah Jalate Hain
Aaoo Vo Shahar Jamane Ko Dikhaya Jaye
Apane Kabaje Mein To Jakhamo Kii Badi Dolat Hain
Kyo Na Fir Vakhat Kaa Sab Karj Chukaya Jaye
Dil Mein Iss Kadar Tere Dard Ko Rakh Leta Hu
Jise Ghar Mein Koi Mujrim Ko Chupaya Jaye
Mujase Khud Apne Ghar Kaa Pata Puch Raha Tha Ekk Din
Haye Vo Shakhsh Bhulae Bhulaya Na Jaye
Meri Yaad Kisiki Jagir Nahi Hai Khushi
Band Kamare Mein Jise Humesha Jalaya Jaye