Shukr Hai Ki Gair Hun, Socha Tha Muskuraate Hue
Dekhaa Maine Jab Use Apnon Ka Dil Dukhaate Hue
Main Be-Hayaa Bhi Kahaan Sharm Se Hua Thaa Paani Paani
Jab Dekhaa Tha Auron Ne Mujhe Do Ashk Bahaate Hue
Na Aashnaaee Hai Kisise Na Ab Adaavat Koi
Jaise Begaana Ho Gayaa Main Har Rishtaa Nibhaate Hue
Di Ek Nanhin See Jaan, Fir Diye Hazaar Gam
Kis Khyaal Me Khoyaa Thaa Khudaa Mujhe Banaate Hue
Jaane Kyaa Vabaal Hai Zindagi Ki Khatm Nahin Hotee
Jaan Na Nikal Jaaye Kahin Ye Bojh Uthaate Hue
Zunoon-E-Ishk Hai Ye, Deewaana Banaa Detaa Hai
‘Mayoos’ Ko Bhi Dekhaa Maine Khushiyaan Manaate Hue