Shehed Ki Makhkhi Ka Chattha Hai Ya Makdi Ka Jala Hai
Hum Ne Khuli Aankhon Se Es Duniya Ko Dekha Bhala Hai
Tareeki Aur Andhiyare Ne Har Su Dera Dala Hai
Hum Deewanon Ke Dum Se Hi Kahin Kahin Ujala Hai
Hum Na Howe To Koi Ufaq Mehtaab Na Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga

Dewaano Ki Kher Manao En Ka Dum Hi Ghanimat Hai
Dewaano Ke Dum Se Hi To Farzano Ki Izzat Hai
Ehle Ilm Aur Ehle Qalam Main Dewaano Ki Kasrat Hai
Dewaano Ki Kasrat Se Hi Insano Ki Azmat Hai
Ye Na Rahe To Koi Bashar Adaab Na Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga
Bhai Ki Gardan Kaat Raha Hai Bhai Kis Be Dardi Se
Dekhne Wale Dekh Rahe Hain Aari Hain Humdardi Se
Kon Nipat Sakta Hai Logo Aisi Dehshat Gardi Se
Sare Muhafiz Kaanp Rahe Hain Jaise Kaanpe Sardi Se
Amn Ki Koi Surat Shekh.O. Shabaab Na Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga
Mehngai Ne Mulk Ke Har Goshe Mai Dera Dala Hai
Istihahali Hai Jo Koi Es Des Main Rehne Wala Hai
Har Sheher,O Dehaat Se Hum Ne Azrani Ko Nikaala Hai
Dil Main Khote Bhari Hai Sub Ke Gora Hai Ya Kala Hai
Dane Ka Kiya Zikr Hai Koi Aab Na Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga
Zeest Ki Tohmat Naam Hai Es Ka Ye Dildooz Kahani Hai
Kon Munsif Hai Es Ka Ye Baat Abhi Anjani Hai
Her Her Lafz Hai Khoon Main Dooba Ye Chehra Hijani Hai
Padh Kar Sub Mehvat Howe Chehron Per Heraani Hai
Es Main To Khushiyon Ka Koi Baab Ne Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga
Chehra Afrozi Ki Fursat Koi Haseen Na Paye Ga
Aaina Jab Dekhe Ga To Herat Main Padh Jaye Ga
Apni Surat Dekh Ke Dil Hi Dil Main Bohot Sharmaye Ga
Maazi Ki Yaadon Main Kho Kar Apna Dil Behelaye Ga
Ab Zulfon Main Koi Pejo Taab Na Dekhe Ga
Aisi Udhe Gi Neend K Koi Khowaab Na Dekhe Ga