Sheeshey Key Jharokon Mein Dil Ko Nahi Sajatey
Duniya Mein Pather Dil Bhi Bahut Rehtey Hain
Aashiyana-E-Dil Apna Nahi Banatey
Chahney Waaley Warna Roz Aatey Jatey Rehtey Hain
Ashkon Ko Youn Hum Nahi Bahatey
Dil Mein Phir Bhi Samundar Behtey Hain
Majboor Sey Raastey
Durd-E-Tanhai Ki Raatein
Yehi Milla Hai Is Dil Ko Sab Sey
Bahein Kholey Khari Hai Mushkil Wo Kabsey
Khushi Nahi Naseeb Hoti Hai
Na Milta Hai Dil Ko Sukoon
Maut Hi Ki Dua Kartey Hain Ab To Rab Sey
Wo Sahil Sey Deikhta Hai Kuch Aiysey
Key Doob Janey Ka Jee Karta Hai
Hassi Hai Uski Ya Sitaron Ki Chamak
Ghum Mein Bhi Ab Muskuraney Ka Jee Karta Hai
Ajnabii They Kabhi Ab To Khuda Ban Gaey
Har Qadam Per Tumharey
Sajdey Mein Khud Ko Giraney Ka Jee Karta Hai
Garjein Hain Badal Kuch Is Tarhan
Raahon Mein Toofan Khara Ho Jiss Tarhan
Duur Hai Manzil Meri, Mushkil Hai Safar
Dur Lagta Hai, Key Ab Yeh Raat Katey Gi Kiss Tarhan