Sheesha-E-Dil Par Tanhai Ke Pathar Aakhir Kab Tak
Pyasi Aankhon Mein Gam Ke Samandar Aakhir Kab Tak
Manzil Ki Talaash Mein Khud Kho Gaya Hoon Mein
Raah-E-Zindagi Mein Ruswai Ke Manzar Aakhir Kab Tak
Toot Kar Bikhar Jaunga Kisi Roz Gam Ki Aandhi Mein
Jaljalon Ki Jad Par Umeed Ka Khandhar Aakhir Kab Tak
Ek Taraf Dunia Ke Sitam Hai Ek Taraf Tanha Hum Hai
Ghayal Dil Par Waqt Ke Khanzar Aakhir Kab Tak
Palkon Par Thehre Hai Ashq Muddaton Se Kureel
Aankhon Se Uth_te Gam Ke Bawandar Aakhir Kab Tak