Shayar, Lekhak, Kavi, Geetkar
Yeh Zamane Mein Jeete Hain
Apni Soch Ke Saath
Inki Kalam Ko Baisaakhi Kee
Jaroorat Nahin Parti.
Kalam Mein Aag Bharkar
Har Toofan Ko Likha Hai Inhoney
Shehar Jaati Har Sadak Ko
Maapa Hai Kalam Se Jinhoney.
Hazaron Shabd Sametey Yeh Kalam
Har Taraf Sach Kii Gawaah Hain Yeh Kalam
Mushkilon Se Bhari Naav Hain Kalam
Naa Bhare Jhoot Ki Shyahi Yeh Kalam
Iss Kalam Ka Milna Aasaan Khel Nahin
Magar Bazaar Mein Dus Rupey Bikti Hain.
Kharidaaron Ko Yeh Pasand Nahin Aati
Yeh Kalam Bin Kisi Syahi Ke Kahan Bikti Hain.
Iski Shyaahi Khareedi Nahin Jaati
Iski Qeemat Bhi Nahin Aanki Jaatin.
Hazaar Thapedon Se Gujarti Hain
Dukh Aur Dard Ki Bhatti Mein Yeh Jhonki Jaati.
Iski Boondein Jo Neeli Hoti Hain
Isme Sangam Lahoo Ka Hota Hain
Yeh Ussi Bannd Gali Mein Ruk-Kar
Apna Chota Sa Ek Ghar Banati Hain
Jiske Aage Safar Nahin Hota
Wahin Pe Rokar Woh Gungunati Hain.
Kya Daam Laga Payega Koi
Inn Bhari Boondon Kaa Jo Aankhon Se Nikalkar
Kalam Mein Jaati Hai Raat Mein Iski Chamak
Kaa Asar Dugna Hota Hai.Unnhi Andheron Mein Jo
Sadma Chupa Hota Hain.
Iski Hasrat Bhi Kamm Nahin Hoti
Iski Har Aahat Mein Dard Hota Hai.
Iski Duniya Mein Roshni Nahin Hoti
Iske Har Dard Mein Shayar Ka Janm Hota Hain.
Iski Hasrat Chipi Bazaaron Mein
Iski Qismat Mili Martbaanon Mein
Iska Har Khwaab
Iski Har Aahat Mein Dard Hota Hain
Iski Duniya Mein Roshni Nahin Hoti
Iske Har Dard Mein Shayar Ka Janm Hota Hain.
Jisney Likha Hai Falak Pe Naam Dard Ka
Woh Insaa Aaj Bhi Kalam Ko Jeet Sakta Hai
Jiski Shyaahi Ne Jhela Garm Thapedon Ko
Jiski Aankhon Ne Buney Hazaaron Manzar
Jiske Dard Ko Samjha Nahin Duniya Ne
Jo Baant-Ta Ho Apni Hissey Kii Saari Roti
Jise Roti Ki Nahin, Bhook Khushi Kii Satati
Jisne Pehna Ho Paiband Se Lipta Hua Libaas
Jo Kahin Jaake Bhii Kahin Naa Kabhi Ja Sake
Jisne Mohabbat Ko Bas Mohabbat Samjha
Jisne Aakaash Ke Baadal Ko Gharonda Samjha
Jiska In Jaat-Dharmon Se Sarokar Naa Ho
Jo Apni Maa Ko Apna Khuda Kehta Ho
Jo Kisi Rotey Hue Bacche Ka Khilona Banker
Apney Aansoon Ko Palakhon Mein Rakhta Hain
Jo Hasraton Ko Dharkano Ki Ghulami Kehta
Jise Samaaj ‘Ek Paagal’ Ka Naam Deta Hain
Maarkar Jisko Khudai Ka Kaam Kehta Hain
Bas Yahi Sacche Shayar Ka Mukaam Hota Hain.
Tab Kahin Jaake Ek Shayar Ka Janam Hota Hain.
Tab Kahin Jaake Ekk Shayar Kaa
Janam Hota Hai.