Sham Ki Tanhayee Jab Satane Lagi
Aapki Judai Jab Hame Tadpane Lagi
Apne Vicharon Ko Jab Tham Na Saka
Aapke Mohobbat Ke Tarike Jaan Na Saka
Aaya Man Me Mere Ek Khayal
Ke Kaagaz Pe Utaar Doo Apna Ye Haal
Maana Ke Aap Apne Tarike Se, Apne Andaaz Se Pyaar Karte Ho
Mujhse Mohobbat Hai Bhi Ya Nahin, Phir Bhi Rishta Nibhate Ho
Phir Bhi Kyon Dil Ko Lagta Hai, Ki Aqsar Aap Hame Vyarth Hi Sataate Ho
Jis Cheez Ki Hame Zarurat Hai, Usi Ki Kami Ka Ehsaas Karaate Ho
Bohot Paas Aana Chaahate Jab Hum, Door Rakhne Ki Chaal Kyon Chalate Ho
Maana Ke Aapko Mohobbat Jataana Nahin Aata
Apne Pyaar Ka Izhaar Karna Nahin Aata
Agar Kabhi Main Khafa Ho Jaaon, Galti Se Rooth Bhi Jaaon
Us Waqt Apne Aap Ko Kabhi Akela Nahi Paata
Kya Kare Jaane Jaa Paas Aakar Aapko Manana Bhi Nahin Aata
Ye Zaroori Nahin Ke Har Insaan Me Ho Ye Adaa
Kisi Me Kam To Kisi Me Hoti Hai Ye Jyaada
In Cheezon Ke Bina Bhi Mohobbat Reh Sakti Hai Zinda
Aapke Na Samajhne Ki Zidd Hai, Warna Zaroor Samjhata
Ke Inhi Baaton Se To Majboot Bantaa Hai Naata
Hamne To Sharaab Bhi Chod Di Aap Ki Mohobbat Pane Ke Liye
Yaaron Ki Mehfil Se Uth Gaye Aap Ke Nazdeek Aane Ke Liye
Yeh Socha Pina Hi Hai To Aap Ki Aankhon Ke Maikhane Se Pee Lenge
Jaam Na Sahi, Hum Mohobbat Ke Nashe Me Hi Jee Lenge
Ab Haalaton Ne Kiya Hai Majboor
Rakha Hai Hame Ek Doosre Se Door
Kambaqht Wahi Shaam Ab Katti Nahin
Jisme Kabhi Rehte The Hum Nashe Me Choor
Ab Ye Tanhaayee Hame Jeene Nahin Deti
Aap Ki Mohobbat Hame Marne Nahin Deti
Jaan Kuch Baate Aapki Jubaan Sun Lenge Hum
Zindagi Ka Ye Kathin Safar Kisi Tarah Poora Kar Lenge Hum
Keh Do Ek Baar Nahin, Baar Baar Yeh Keh Do
Poori Zindagi Saath Rahenge Hum
Yeh Rishta Dilon Jaan Se Nibhayenge Hum