Sham Hote Hii To Nikla Tha Daftar Se
Kii Achanak Hii Saamne Se Muskurati
Chaar Manzila Imarat Se Ekk Bada Sa Sheeha
Saamne Aakar Gir Gaya.Mere Hosh Gum
Mastisk Chup Bas Shaanti Chaaron Oar
Haath Ko Nikaal Jeb Se Jeevan Rekha Ko Talaasha
Aur Woh Mil Gayi,Ab Sab Theek Ttha.
Magar!,Woh Sheesha Toota Tak Nahin
Jaise Abhi Factory Se Dhhal Kar Nikla Ho.
Mujhse Raha Naa Gaya, Usske Paas Gaya
Haath Lagaya, Sehlaaya, Firaaya
Jaancha-Parkha Kii Shayad Kharonch Hii Aaye Ho,
Magar Woh Saaf.Phir Tow Main Pooch Hee Baitha
Bhai!, Tum Chatkay Ya Tootey Kyon Nahin?
Kheel-Kheel Hokar Bikhrey Kyon Nahin?
Sunkar Meri Baat, Kehney Laga Sheesha
Sunn Aadmi Kii Jaat Kya Tootney Ka Zimma
Sirf Hum Sheeshon Kaa Hai?
Afghanistan Aur Iraq Ke
Masoomon Per Itna Qehr Barpa
Kya Tu Toota?roj Sansad Mein Ya
Teri Gali Mein Hue Dhamaakon Se
Kya Tu Toota? Woh Kashmir-Gujrat Ya
Mumbai-Dilli Ke Hamle
Tujhe Tod Paaye? Woh Hera-Pheri,
Woh Bhrastachaari Bhii Kya Tujhe
Koi Kharonch De Paayi?
Roj In Sadkon Per Hota Zurm
Yujhe Hila Paaya Hai?
Uske Sawwalon Ne Jaise Mujhe
Gungaa Bana Diya Ttha. Bola Ey!Aadam Jaat
Main Tow Sirf Chaar Manzil Se Gira Hoon Bas,
Tu Tow Apne Imaan Se Girr Gaya
Magar Phir Bhi Naa Toota
Bhrastachaar Bhii To Tujhe
Ekk Kharonch Naa De Saka.
Kyonki, Maine Suna Hai
Insaano Per Koi Asar Nahin Hota,
Issliye Hum Sheeshon Ne
Yeh Sankalp Kar Liya Kimab Hum Bhi Naa Kabhi Tootenge.