Shakhs Wo Mehboob Sa Jab Se Beigaana Ho Gaya
Saaghar-O-Meena Se Apna Dostaana Ho Gaya
Jo Kabhi Rehtaa Tha Aankhoin Mein Khwaabon Kii Tarah
Usko Dekhe Dosto Ab Ik Zamaana Ho Gaya
Sun’ne Laga Tha Voh Meri Fariyaad Lekin Haaye Haaye
Lab Hilaaye The Ki Kehta Hai, Kahaa Na, Ho Gaya
Jab Talak The Aashna Tum Raasta Humvaar Tha
Ab To Na’mumkin Hi Qadmon Ko Badhaana Ho Gaya
Ko’ii To Ho Mujhse Kahe Jo Aa Ke Maikhaane Mein Yaar
Ab Chalo Ghar Bhi Bohat Peena-Pilaana Ho Gaya
Yun Bhi To Barbaad Hona Hi Tha Mujhko Ai Nadeem
Uskaa Bichadd Jaana Faqat Achchaa Bahaana Ho Gaya
Ab Sar-E-Mehfil Hamaare Zikr Pe Kehte Hain Woh
Choriye Jee Ab To Yeh Qissa Puraana Ho Gaya
Hai Koi Allah Kaa Banda Jo Kahe Jaa Kar Unhein
Aapse Ho Kar Judaa Maikash Diwaana Ho Gaya