Shahnai Si Bajti Hai Dil Me Jab Wo Mil Jate Hai
Guma Hota Hai Khud Par Jab Wo Mil Jate Hai
Ishq Hai Unse Is Kaqar Kya Kahe Dosto
Khil Jata Hai Dil Jab Wo Mil Jate Hai
Hasarte Ho Jati Hai Parwan Jab Wo Mil Jate Hai
Khud Pe Na Hota Hai Ikhtiyar Jab Wo Mil Jate Hai
Shama Ho Jata Hai Suhana Jab Wo Mil Jate Hai
Ho Jata Hai Lamha Rangeen Jab Wo Mil Jate Hai
Wo Nahi Samjhenge Hal-A-Dil Hamara
Khud Ko Bhul Jate Hai Jab Wo Mil Jate Hai
Kashish Hai Gajab Unki Nigaho Me Baho Me
Gajal Ban Jata Hai Har Lafj Jab Wo Mil Jate Hai