Shab Hai Tareeki Hai Tanhayee Hai
Main Hun Aur Sath Mera Humzaad Hai
Go Keh Humdoonon Ki Khu Bu To Aik Hai
Mager Aajkal Kuch Ranjish Aur Tazad Hai
Woh Khuwabon Se Nafrat Kerta Hai
Main Khuwabon Ko Sajaya Kerta Hun
Woh Khushfahmi Se Adawat Rakhta Hai
Main Khushfahmi Mein Jiya Kerta Hun
Woh Zindagee Ko Aazaar Kahta Hai
Aur Khud Bhi Bahut Bezar Rahta Hai
Zindagee Ki Latafat Mein Gum Dekh Mujhe
Aaye Din Mujh Se Bhi Naraaz Rahta Hai
Kuch Poochu To Kuch Jawab Deta Hai
Raqeebon Ki Tarah Mujhse Sulok Kerta Hai
Mager Meri Udaasi Use Behaal Kerti Hai
Phir Khud Bhi Pahron Udaas Rahta Hai
Main Ajeeb Kashmakash Mein Jeeta Hun
Khamoosh Taanon Ka Ab Zaher Peeta Hun
Koi Mere Humzaad Ko Kuch To Samjhaye
Uske Bina Main Bhi Kuinker Jeeta Hun.
Shab Hai Tareeki Hai Tanhayee Hai
Main Hun Aur Sath Mera Humzaad Hai