Shab-E-Zindagi Ho Chali Intezaar-E-Yaar Khatam Na Hua
Umeedon Ko Neend Aa Gai Par Junun Tera Kam Na Hua
Yun To Mile The Raah-E-Zindagi Mein Kai Dost Magar
Dum Bhar Ke Liye Bhi Koi Yahan Hum-Dum Na Hua
Mili Yeh Zindagi Bhi To Bus Char Din Ke Liye
Aur Us Par Gham Ke Siva Koi Aur Mausam Na Hua
Mere Hum-Raah To Bus Ek Mera Saaya Hi Tha
Woh Bhi Chala Aise Ke Mere Hum Qadam Na Hua
Hawaon Ke Tarz Par Yeh Shaakhon Ka Raqs
Kitne Ujjad Gaye Nasheman Koi Maatam Na Hua
“Taasir” Ki Zindagi Ki Dastaan Woh Khud Hi Jane
Log To Yeh‚  Samjhe Us Par Koi Sitam Na Hua