Shaam Ne Raat Main Tabdeel Hote Hue Kaha
Aaj Main Udaas Hun
Sooraj Ne Maghrib Main Doobte Hue,
Sitare Ne Aasmaan Se Toot Kar Girte Hue Kaha
Aaj Main Udaas Hun
Khilte Hue Phoolon Ne Murjhakar,
Mausam-E-Bahar Ne Akhri Hichki Lete Hue Kaha
Aaj Main Udaas Hun
Khizan Ke Mausam Ne Mujhse Poocha
Kiya Tum Bhi Meri Tarah Udaas Ho
Maine Apne Chahre Par Jhoothi Hansi Ka Parda Sajakar Kaha
Nahimain Udaas To Nahi
Fir Maine Muh Dusri Taraf Karke
Aankhen Band Kar Li
Aur Ek Ansoon Meri Palkon Se
Rukhsaar Par Tapak Gaya