Shaam Ki Dastak Pe Chand Ki Nind Tuti Thi
Sair Pe Nikal Gaye Janab
Ki Ek Jheel Ke Thahre Se Paani Mein
Kisi Parchayi Ko Dekh K Ruk Gaye Janab
Kuch Khas Nahi Tha
Sirf Ek Purane Se Ped Ke Niche
Kali Si Hari Si Roshni Mein
Safed Libaas Udhe Ek Masum Baithi Thi
Umra Ka Dusra Nukkad Hi Hoga
Badi Der Se Haatho Mein Thame Hue
Us Gulaab Ko Dekh Rahi Thi
Jo Puri Tarah Sukh Chuka Tha
Shayad Arse Baad
Kisi Kitaab Se Nikala Hoga
Chand Muskuraya Sochne Laga
Chala Jaye Yaha Se Janaab
Yaha Kisi Aur Chand Ki Talab Hai
Yaha Kisi Aur Ka Intazaar Hoga