Shaam-E-Gham Tanhai Ke Siva Kyaa Degi
Umeed Ka Aakhri Diyaa Bhi Bhuja Degi
Chehra Chhupane Se Haqikat Nahi Chhipti
Khamosh Zubaa.N Bhi Kai Raaz Bata Degi
Tu Khud Hii Nikal Ja Dil Se Mere Sanam
Mere Seene Ki Jalan Sab Kush Jala Degi
Gar Hai Gunah Jooth Nazar Mein Khuda Ki
Bolega Jo Tu Sach To Tujhe Dunia Saza Degi
Janoo.N Hai Taari Tujhe Mitane Ka Uspe
Naam Likhegi Tera Hawa Mein Mita Degi
Aati Nahi Hai Raas Ishq Ke Maaron Ko Zindagi
Hamko Gar Sakoo.N Degi To Bass Kaza Degi
Mil Jayega Sakoon Us Din Meri Rouh Ko
Aansu Koii Jis Roz Wo Mere Liye Gira Degi
Rakhta Hai Kon Yaad ‘Veer’guzre Waqt Ko
Baad Tere Ye Dunia Tujhe Bhi Bhula Degi