Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun, (Shaad—Happy)
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun‚  (Nashaad–Unhappy)
Teri Iltizaa Hai To Main Khush Hi Rahun
Jo Teri Baddua Hai To Barbaad Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun
Bhulna Chaahe To Kahaan Mumkin Hai
Gunaah Ke Jaise Mai Tujhko Yaad Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun
Dushmano Se Sahi Main Rehta Hun
Doston Se Bhale Khraab Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun
Chaahe Aashiqi Ki Main Misaal Rahun
Chaahe Dardon Ki Main Kitaab Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun
Maut Aaye To Jaan Chode Jamane Tujhse
Zindgi Naam Tere Mai Ik Inqlaab Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun
Wo Nahi Zindgi Me Shamil Karan
Mujhko Kehta Hai Ke Abaad Rahun
Shaad Rahun Ya Nashaad Rahun
Bass Itni Fikr Hai Ke Azaad Rahun