Sehra Ke Musafir Ko Julfon Ke Saye Na Dikhao
Safar Mein Bhula De Jo Manzil Mujhe Wo Raahe Na Dikhao
Maiqash Hun Yeh Mana, Labon Se Kabhi Pee Nahin
Pyaasi Meri Aankhon Ko Tum Sharabi Adaayein Na Dikhao
Tapte Sehra-O-Jalte-Aaftab-E-Tapish Ka Hun Aadi
Jhuki Palkon Ke Shamiyanon Ki Mujhe Panaahein Na Dikhao
Naajuk Umar Ke Mod Par Kadam Phisal Bhi Jate Hai “Kureel”
Ladkhadate Hue Musafiron Ko Gori Makhmali Baahein Na Dikhao