Sawaal Sulajh Rahe Hain Ab To Waqt Ke,
Dheere Dheere Tere Diye Ghaav Waqt Le Gaya.
Apno Ke Jo Sawaal The Jawaab Mil Gaye Unhe,
Zakhmon Ki Numaish Ki Keemat Waqt De Gaya.
Tasveere Bhi Jaladi Usne Ab To Meri Jo Thi Uske Dil Mein,
Raakh Bachi Thi Jo Hawa Ka Chalna Le Gaya.
Aaine Mein Ab To Sirf Tanhai Rehti Hai Har Dam,
Chehra Jo Satata Tha Use, Uska Aashiyana Le Gaya.
Usne Ki Nahi Koi Bewafai Kabhi Bhi Humse,
Shayad Mera Use Zaroorat Se Zyada Chahna Le Gaya.
Khuda Ne To Sunadi Uski Saza Kabki,
Chahat Do Cheezon Ki Thi Woh Mera Pyaar Le Gaya.
Raah Mein Mile Kai Log Hume Bhi The Magar ‘Abrar’,
Jise Hum Pyaar Karne Lage Fir Use Koi Awara Le Gaya.