Sard Sunsaan Si Aahat Ke Tanhaayi Main
Band Kamrai Ke Sissakti Hui Baizaar Ghutan
Aisai Lipti Hai Merai Zehaan Ke Deewaaron Sai
Jaisai Khaamosh Sulagti Hui Koi Chingari
Raakh Kai Dhair Main Gumnam Fanah Hoti Hain
Duur Duniyaa Kai Daihktai Huai Sholon Ki Tapish
Apnai Ehsaas Ko Is Tarah Hawa Deti Hai
Jaisai Mil Jaati Hai Barsaat Main Har Shae Ko Nami
Jaisai Har Jism Jawani Main Nikhaar Jaata Hai
Jaisai Kurdish Ke Kirno Kaa Sunhaira Jaadu
Subaih Hotai Hi Zamanai Pai Bikhaar Jaata Hai
Or Mai Khamosh Fanah Hoti Hui Chingari
Waqt Aur Haalat Ke Is Raakh Kai Dhair Kai Talai
Apnai Seenai Main Ujaalai Ka Samandar Thaamai
Aisai Sehmi Hui Baithi Hoon Akelepan Mai
Jaisai Muflis Kai Khayaalon Main Khushi Ka Sapna
Na Hi Mittta Hai Na Aankhon Main Bayan Hota Hai
Main Yeh Chahoon Bhi To Yeh Chahat Kai Siwa Kuch Bhi Nahi
Waqt Thehra Hai Na Thehrai Ga Kisi Ki Khatir
Yeh To Dariya Hai Badastoor Baha Jayega
Is Ko To Aata Hi Nahi Kuch Bhi Guzarnai Kai Siwa
Main To Din Raat Yahi Ek Dua Karti Hoon
Waqt Ki Tej Hawaon Ka Bikharta Hua Toofan
Mujh Sai Lipti Hui Is Raakh Ko Bikhra Dai
Kahin Merai Seenai Ki Tapish Chu Kai Hawain Guzrai
Meri Garmi Sai Kisi Jism Ko Aaraam Milai
Merai Sholon Sai Kisi Zehan Ko Tanveer Milai
Par Yeh Khamosh Sisakti Hui Baizaar Ghutan
Badnaseebon Kai Muqaddar Kai Sitaaron Ki Tarah
Merai Maahol Ko Tabdeel Na Honai Degi
Ghut Kai Maaregi Mujhai Khul Kai Na Ronai Degi
Meri Taqdeer Main Ghut Ghut Kai Fanah Hona Hai
Mujh Ko Is Talkh Haqeeqat Ka Gumaan Hota Hai
Aur Kuch Dair Main Bujh Jaoongi Is Raakh Talai
Dil Jo Chahai Who Zamanai Main Kahan Hota Hai!