Sans Thamne Lagi, Dhadkan Bhi Rukne Lagi Ab To Aa Jao,
Toofan Hai Bhari, Naiyya Dagmagane Lagi Ab To Aa Jao,
Sailaab Aaya Jo Tere Jane Se Utarne Ka Naam Nahi Leta,
In Aansuon Ki Shaql Mein Zindagi Bahne Lagi Ab To Aa Jao,
Kaash Ke Tujhe Hoti Khabar Kis Tarah Gujarte Hain Din,
Ye Chandani Raatein Dil Ko Tarsane Lagi Ab To Aa Jao,
Ab Na Shaam Hoti Hai, Na Sahar Hi Hoti Hai Meinre Ghar Mein,
Roshni Chiragon Ki “Sahil” Ghar Ko Jalane Lagi Ab To Aa Jao.

By Sita Ram Jakhar “Sahil”