Sanghrsh Bhara Jeevan Tha Kitno Ne Sukh Ko Tyaaga Tha
Kitno Ne Bete Khoya The Kitno Ne Khoon Bahaaye The
Har Pal Aag Pe Chalte The Dusroono Ke Khaatir Jeete The
Dukh Sehna Manzoor Tha Dusroono Ke Khaatir Rote The
Koodee Wo Khaaya Karte The Hamaine Wo Khushiyaana Dete The
Maa Behan Ki Izzat Ke Khaatir Khoon Ki Aaso Rote The
Aise Veer Sipaahi The Ve Fir Bhi Wo Taane Sunte The
Karoodoon Ko Khoyaa Humne Tab Ye Aazaadi Paai Hai
Wo Jinko Humne Khoyaa Aab Nahi Wo Aane Waale
Wo Beez Hin Nahi Milti Ki Fir Wahi Fasal Ugaa Paayein
Fir Wahi Jazba Ho Kahaana Se Wo Waise Log Laayeine
Main Ki Bhavna Khtam Ho Hu+M=hum Ko Hum Jod Paayen
Dusroono Ke Samman Ki Khaatir Apna Sir Jhuka Paayein
Baat Ko Suljhaana Ho Toh Baat Ko Hum Samjh Paayein
Bhdkaane Waale Log Bahut Hain Hum Khudd Hin Sambhal Jaayein
Ghar Ko Sukhi Banana Ho Toh Ma Ko Hum Khus Rakh Paayein
Samaaj Ko Sukhi Banaan Ho Toh Achchi Soch Hum Apna Paayein
Bharta Ma Ki Laaz Ki Khatir Taanashaahi Se Bach Paayein
Insaaniyat Bani Rahe Jag Main Dusroono Ka Dukh Apna Paayin
Ek Dusre Ke Pyaar Ko Apnakar Pyara Sa Sansaar Banaayein
Karodoon Ki Ke Khoon Se Sazi Hai Ye Khushiyaana Humaari
Laaz Rakh Lein Un Balidaano Kajinse Sazi Hai Khushiyaan Humaari