Sangemarmer Se Tarashe Hasin Badan Ko Dekh Kar
Saba Chali Hai Is Sehra Mein Chaman Ko Dekh Kar
Mere Labon Par Barbas Ek Pyaas Ubhar Aayi Hai
Un Surkh Labon Ki Dehakti Hui Agan Ko Dekh Kar
Khaamoshi Sun Lete Hai Hum Jhuki Nazron Ko Padh Kar
Samjh Jate Hai Haal-E-Dil Mathe Ki Shaikan Ko Dekh Kar
Marte Bhi Hai To Shaan Se Jinda_dili Se Jinewale
Na Hona Hairaan Mere Janaaze Par Rangeen Kafan Ko Dekh Kar
Tanha Jindagi Ke Safar Ka Koi Aisa Hamsafar Mile “Kureel”
Maahtaab Bhi Sharma Jaye Jiske Rukhsaar-E-Roshan Ko Dekh Kar