Sanam Kaa Patah, Aur Pahichaan Kyaa Hai?”
Azal Sey Yahee Budbudaatey Rahey Hain!
Hamain Kyaa Pataa Thaa, Ki, Woh Hain Qareebee;
Sarey Aam, Pahloo Mein Aatey Rahey Hain?
Kabhi Un Ney Shafqoun Mein Soorat Dikhaayee;
Kabhi, Ban Key, Woh, Abra Chhaatey Rahey Hain!
Tumhaarey Hain Ham; Tum Hamaarey! Patah Hai!
Magar Fir Bhi, Ham, Door Jaatey Rahey Hain!!
Hameen, Unko Pahichaan Paaye Na Ab Tak:
Woh, Har Waqt Nazaroun Mein Aatey Rahey Hain!
Woh Hain Khaas Apney, Gilaa Kyoun Karain Ham?
Rah-E-Zeest Par, Roz, Paatey Rahey Hain!
Ta’alluq Hamaaraa, Hai Katm-E-Adam Sey:
Jisey Ham, Abhi Tak, Chhupaatey Rahey Hain!
Ham, Un Ko, Tah-E-Dil Sey Hain Chaahtey! Par,
Woh, Har Dam, Yahee Aazmaatey Rahey Hain!
Ab, Un Sey, ‘Abd’, Kyaa Kahain Baat Dil Kee:
Jo, Har Roz, Ham Ko Jalaatey Rahey Hain?’