Samunder Poochta Hai Ab Wo Dono Kyu Nahi Aate
Wohi Dono Jo Bhegi Reit Per
Ek Doosre Ka Haath Thamay Dur Tak
Kabhi Haste Kabhi Kuch Gungunate
Ya Kabhi Chup Chap Baithey Dur Ufaq Ki Godh Mein
Roposh Hone Wala Suraj Dekhte
Ansoo Bhahate Loat Jattey!
Samander Poochta Hai Ab Wo Dono Kyu Nahi Aate
Jo Attey Thay To Apne Saath Kitne Khawab Lattey The
Kabhi Sahi Se Dehairo Seepiya Chuntey The
Nange Pao Pani Mai Challey Aatey The
Bhegi Reit Se Nannay Gharondhay Bhi Banattey The
Aur Unmay Seepiya Rangeen Say Kuch Sangreezay Yu Sajattey Thay
Kay Jaisay Aj Kay Jugnoosay Lamhay
Anay Walley Kal Ki Moothhi May Chupattey Thay!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kyu Nahi Attey
Mager Samander Nay Khiza Ki Siskiya Laiti Hoee
Ek Shaam Ko Wo Nojawanno Ko Nahi Dekha
Jo Dair Taak Tanha Sarey Sahil Raha Bhaita
Phir Ussnay Dair Sarey Khaat
Bohut See Phool Sookhe Aur Tasveeray
Aur Apnay Akhri Ansoo
Samunder Ke Hawaley Kar diye