Samundar Bhi Kisike Aansu Ki Takhleek Hai,
Har Su Har Lamha Ek Nayi Si Tasveer Hai,
Koi Agar Ise Gaur Se Dekhe To Jaan Le,
Bahut Rota Hai Ye Bhi Wo Maan Le,
Shayad Iske Dil Mein Koi Raaz Dafan Hai,
Kisika Dost Kisika Pyaar Kisika Sajan Hai,
Iski Aankhon Ko Dekhne Ke Liye Aankh Chaiye,
Lehron Ke Shor Ko Bhi Ek Zuban Chahiye,
Jis Din Maine Gaur Kiya Is Samundar Ki Zaat Par,
Khud Hi Hasi Aane Lagi Apni Har Ek Baat Par,
Jo Kehta Tha Wo Mohabbat Hai Jhuth Tha,
Uska Pyaar Wo Intezar Wo Iqraar Jhuth Tha,
Ek Baar Dekha Mazir Barish Ke Samundar Par,
Laga Badal Bhi Isse Giryee Mein Masroof Tha,
Jis Talak Hum Ne Dekha Sooraj Door Tha,
Samundar Ki Laali Mein Shayad Wo Bhi Garoob Tha