Samete Sabko Apne Mein, Samander Ki Nishaani Hai
Hamein Ye Khashiyat Uski Sabhi Ke Dil Mein Laani Hai
Kabhi Shashan Mein Aasan Ya Kabhi Bhaashan Ya Raashan Mein
Ulajhkar Rah Gaya Inmein Har Ik Hindostaani Hai
Ye Mat Socho Jo Aala Dikh Rahe Hai Wo Sabhi Khush Hai
Tumhaari Ye Kahaani Hai To Unki Wo Kahaani Hai
Na Aankhon Mein Hayaa Jinke Na Baton Mein Hai Sachchaaee
Hamein Aise Hi Kuchh Logon Se Ye Sansad Bachaani Hai
Kishi Pustak Se Ya Phir Chitra Se Bhaybheet Na Ho Tum
Hamaari Aastha Kachchee Nahin Sadiyon Puraani Hai
Padousi Mulq Se Tum Dosti Ki Baat Karte Ho
Padousi Gaon Se Bhi Dushmani Pahle Mitaani Hai
Ham,Ein Na Taj Ki Chaahat Hamein Na Raaj Ki Hasrat
Hamaari Chaah To Sabke Liye Roti Au Paani Hai