Samajhna Do Logon Ko Iss Jahaan Mein Hai Na Mumkin…
Kehte Hain Ek Ko Faqir Naam Doosre Ka Deewana….
Aalim-A-Na Hota Hai Nasha Faqiri Wala….
Dewaangee Ko Mili Hai Tashbeeh Ahmek-A-Na…
[Aalim = Highly Learned] [Ahmek = Foolish]
[Tashbeeh= Something Is Related To As]
Baatein Na To Samajh Aati Hain Faqiron Kee Inko…
Na Kabhi Deewane Ke Nabz Ko Zamane Ne Jaana…
Faqiri Ke Ada Mein‚  Gazab Ka Hai Deewanapan….
Aur Dewaane Ka Andaaz Hai Ajab Faqirana….
Kabhi Kehte The Mujho Log Faqir Tabeeyat….
Ab Ke Naam Hai Mashoor Hua Deewana..
Na Yeh Tabki Baar Samjhe The Mujhe …..
Na Inhone Mujhe Abki Baar Pehchaana….
Yeh Meri Faqiri Hai Yaa Hai Mera Deewana Pan…
Main Jatlaaun Kasie…
Naam Poocha Thaa Kabhi Tumne “Dost”….
Naam Iss “Deewane-Faqir” Ka Main Bataaun Kaise.