Sakhun Zuef Se Sakht Dushwar Tha,
Palak Kaa Uthana Bhii Ik Baar Tha.
Khada Hun Agar Paaon Laghzan Rahe,
Badan Baid Kii Tarah Larzan Rahe.
Chala Jaae Sar Paaon Thra Thra Kare,
Naseem-E-Sahar Kaar-E-Sar Sar Kare.
Pas Az Chand Aankhen Thahrne Lagin,
Nigahen Bhii Kuchh Kaam Karne Lagin.
Bandha Natawaani Kaa Rakht-E-Safar,
Kiya Taaqat-E-Rafta Ne Munh Idhar.
Kise Tha Miri Zindagani Kaa Dhayan,
Walekin Nihayat Tha Main Sakht Jaan.
Lagi Jaan Si Aane Aaza Ke Beech,
Koi Roz Rahna Tha Duniya Ke Beech.
Phira Natawan Main Bahut Duur Se,
Ke Nazdik Tha Aalam-E-Gor Se.
Woh Soorat Ka Wahm Aur Deewanagi,
Lagi Karne Dar Parda Be-Ganagi.
Naa Dekhe Miri Oar Us Payaar Se,
Gharibana Sar Maare Deewar Se.
Kahin Tuk Tasalli, Kahin Be Qarar,
Kahin Shauq Se Mere Be Ikhtiar.
Kahin Waaste Mere Roti Hai Khoon,
Kahin Dast-E-Zer-E-Zanakh Hai Satoon.
Khain Dil Ko Apne Dikhawe Mujhe,
Miri Be Wafai Jitawe Mujhe.
Kahin Dast Bar Dil Woh Rashk-E-Qamar,
Kahin Hasrat Aaluda Mujh Par Nazar.
Kahin Mujh Se Kahti Hai Rukhsat Mujhe,
Ke Mutliq Nahin Ghum Ki Taqat Mujhe.
Kabho Be Adaai-O-Dushnaam Hai,
Kabho Baad Ke Haath Paigham Hai.Sakhun Zuef Se Sakht Dushwar Tha,
Palak Ka Uthana Bhi Ik Baar Tha.
Khara Hun Agar Paaon Laghzan Rahe,
Badan Baid Ki Tarah Larzan Rahe.
Chala Jaae Sar Paaon Thra Thra Kare,
Naseem-E-Sahar Kaar-E-Sar Sar Kare.
Pas Az Chand Aankhen Thahrne Lagin,
Nigahen Bhi Kuchh Kaam Karne Lagin.
Bandha Natawaani Ka Rakht-E-Safar,
Kiya Taaqat-E-Rafta Ne Munh Idhar.
Kise Tha Miri Zindagani Ka Dhayan,
Walekin Nihayat Tha Main Sakht Jaan.
Lagi Jaan Si Aane Aaza Ke Beech,
Koi Roz Rahna Tha Duniya Ke Beech.
Phira Natawan Main Bahut Door Se,
Ke Nazdik Tha Aalam-E-Gor Se.
Woh Soorat Ka Wahm Aur Deewanagi,
Lagi Karne Dar Parda Be-Ganagi.
Na Dekhe Miri Oar Us Payaar Se,
Gharibana Sar Maare Deewar Se.
Kahin Tuk Tasalli, Kahin Be Qarar,
Kahin Shauq Se Mere Be Ikhtiar.
Kahin Waaste Mere Roti Hai Khoon,
Kahin Dast-E-Zer-E-Zanakh Hai Satoon.
Khain Dil Ko Apne Dikhawe Mujhe,
Miri Be Wafai Jitawe Mujhe.
Kahin Dast Bar Dil Woh Rashk-E-Qamar,
Kahin Hasrat Aaluda Mujh Par Nazar.
Kahin Mujh Se Kahti Hai Rukhsat Mujhe,
Ke Mutliq Nahin Ghum Kii Taqat Mujhe.
Kabho Be Adaai-O-Dushnaam Hain,
Kabho Baad Ke Haath Paigham Hain.