Sailab-E-Gum Kabhee Na Utara Magar
Mohabbat Kee Kashtiyon Ne Na Dubne Diya
Wahee Safar Wahee Mukam Bar Bar Aye
Teree Adayon Shokhiyon Ne Na Ubne Diya
Ye Waqt Kee Zid Thee Mushkilen Tamam Ayeen
Teree Chahat O Wafayon Ne Na Tutne Diya
To Sach Me Manane Ko Na Aa Jaye Kaheen
Ye Soch Kar Rakeebon Ne Na Ruthne Diya
Dil Main Rakh Liya Chipa Ke Duniya Se
Tere Pata Bhee Ksiee Ko Na Puchne Diya
Doosre Hath Se Duniya Tamam Luta Dee Maine
Ek Hath Me Tera Hath Tha Na Chhutne Diya
Tere Gam Ko Bhee Tera Gulab Mana Hamane
Ek Ansu Bhee Kabhee Na Sukhne Diya
Raftare Dard Ne Fursat Na Dee Kabhee
Gam Ka Sabab Bhee Hame Na Puchne Diya
Kash-M-Kash-E-Hayat Khizan Le Ki Baharen
Gam Me Khile Nahee Ansoo Ne Na Sukhne Diya
Had-E-Teer-E-Nazar Khud Hee Aa Gaye
Aur Tera Nishana Kabhee Na Chukne Diya