Sahne Ko Ghum Mujh Ko Sanam Mazboor Karte Hain
Auron Se Mil Ke Unn Ko Yoon Masroor Karte Hain
Kaste Hain Jo Taane Mirii Jaanib Bazaar Mein
Ab Sochti Hun Vo Mujhe Mashhoor Karte Hain
Meri Nazar Se Dekhiye To Tark E Tallukaat
Kuch Had Talak Insaan Ko Maghroor Karte Hain
Ab To Sitam Ke Bhi Nahi Qaabil Main Doston
Mere Hi Kuch Apne Mujhe Mastoor Karte Hain
Karte Nahi Hain Baat Bhi Aa Kar Kareeb Se
Kuch Log Khud Pe Naaz Yoon Bharpoor Karte Hain
Daaman Nahi Choro Diya Akhlaakhiyaat Kaa
Ye Qaaide Insaan Ko Mashkoor Karte Hain