Sahil Ki Ummid Thi Ek Tinka Bhee Apna Na Raha
Zinda Rahe Apano Ke Beech Apno Ki Bheed Mein
Ab Koi Apna Na Raha Chaht Thi Ek Gulshan Ki
Gulshan To Kyaa Sahra Bhee Apna Na Raha
Jeene Ki Khwahish Thi Apane Aaj Mein
Kabhi Yaadon Se Ubharne Ka Nauka Na Mila
Kabhi In Ashkon Ne Saath Diya Thaa Tanhai Mein
Ab To In Ashkon Ka Saath Bhee Na Raha
Kabhi Tanhai Ke Saath Bhee Khush Rahate The
Ab To Tanhai Se Bhee Fasla Ho Chala
Jo Band Aankhon Se Dekha Wo Apna Knha Hua
Jo Dekha Thaa Khuli Aankhon Se
Wo Sapna Bhee Apna Na Raha In Ajnabee Rahon Mein
Ek Musafir Phir Akela Ho Chala
Kuch Saanse Hai Udhar Ki Warna
Ab To Zindagi Aur Maut Ka Fasla Bhee Na Raha