Safar Zindaagi Kaa Guzara Hain Yun
Jaise Ajnaabi Ajnaabi Se Milta Hain
Kabhi Mile Hain Khud Se Bhii Yun
Jaise Ajnaabi Ajnaabi Se Mile
Jisse Pane Keliye Barbaad Huwe
Khud Se Bhii Huwe Paraye Hum
Aaj Unse Mulaqat Huwa To Aise
Jaise Ajnaabi Ajnaabi Se Mile
Naa Haqeeqat Mein Koi Asra Hain
Naa Khwabon Kaa Koi Hosla Huwa
Yeh Ankhe Bhi Milte Hai Sapno Se Yun
Jaise Ajnaabi Ajnaabi Se Mile
Mange Kaise Hum Apni Maut
Jab Rishta Khuda Se Koi Nahi
Meri Duwa Our Asar Milte Hain Yun
Jaise Ajnaabi Ajnaabi Se Mile