Safar-E-Manzil-E-Shab Yaad Nahin
Log Rukhsat Huye Kab Yaad Nahin
Dil Mein Har Waqt Chuban Rahti Thi
Thii Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahin
Woh Sitara Thi Ki Shabnam Thi Ke Phool
Ik Surat Thi Ajab Yaad Nahin
Aisaa Uljhaa Hoon Gam-E-Duniyaa Mein
Ek Bhi Khvaab-E-Tarab Yaad Nahin
Bhuulate Jaate Hai Maazi Ke Dayaar
Yaad Aaye Bhi To Sab Yaad Nahin
Yeh Haqiqat Hai Ki Ahbaab Ko Ham
Yaad Hi Kab The Ke Ab Yaad Nahin
Yaad Hai Sair-E-Charaagaan
Dii Ke Bujhane Kaa Sabab Yaad Nahin