Sach Ko Sach Kaha Maine To Guna Ho Gaya
Aur Mera Qoon Bhi Logon Ke Haton Pe Laga To Hina Ho Gaya
Log Sharifon Ki Sharafath Pe Nuqta Chini Karte Rahe
Aur Maine Tawayaf Ko Tawayaf Kaha To Zina Ho Gaya
Ilam Ka Hona Zarori Hai Faisle Ke Liye
Apki Nadani Se Har Danishwar Pasina Ho Gaya
Ab Waqath Ki Daga Bazi Kaho Ya Johari Ki Jal Sazi
Har Hira Kanch Ka Tokda‚  Aur Pathar Nigina Ho Gaya
Khud Ko Brahma Bhala Kyoon Kar Dekhte Wo
Mera Har Alfaaz Unke Liye Aina Ho Gaya
Aur Meri Ruqsath Ne Di Kamzarfon Ko Azadi
Mahefil Ka Har Jahil Shayarana Ho Gaya
Qafile Ke Lot Jane Ka Afsos Bhala Kyon Kar Ho Qadeer
Rahebar Ki Shakal Me Rahzan Mera Rahenuma Ho Gaya