Sach Kahoo To Aab Dil Me Koi Jajbaat Baki Nahi Hai
Na Teri Di Khushi Ke Na Tere Chod Jane Ke Gamm Ke
Ek Bejuban Pathar Ho Gaya Hai Dil Jise
Khushi Yaa Gaam Kisi Ki Fikar Nahi
Aab Koi Khushi Mujhe Hasati Nahi Aur
Koi Gaam Mujhe Rulata Nahi,
Aate Hai Bahut Log Aaj Bhi Meri Zindagi
Me Par Koi Bhi Mera Ho Pata Nahi,Mujhe
Pane Ki Chahat Rakhte Hai Dil Me Par Koi
Bhi Iss Dil Me Bass Pata Nahi,
Zindagi Suni To Nahi Hai Tere Bina Par Koi
Naya Rang Bhar Pata Nahi,Jaise Ek Thehra Hua
Saagar Hai Ye Mann Jo Kabhi Jo Aage Bhad Pata Nahi
Tere Liye Agar Pyar Nahi Hai Mere Pass To Aab
Nafrat Bhi Nahi Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise Tera Mera Koi Rishta Hi Nahi Hai,
Jiss Dil Me Tu Dhadkan Ki Tarah Rehta Tha
Kabhi Aaj Usi Dil Me Tere Naam Ka Koi Nishaan Tak Nahi Hai
Khush Ho Ki Aab Teri Tarah Mujhe Bhi Teri Koi
Fikar Nahi Hai,Intzaar Nahi Tere Lout Aane Ka
Aab Teri Mujhe Koi Kadar Nahi Hai,
Tu Hai Anjaan Mujhse Jiss Tarah Aab Meri
Aankhon Ko Bhi Teri Pehchaan Nahi Hai,
Raste Tere Agar Hai Badle To Kya Khaas
Hai Mujhe Dekh Aab To Tu Meri Manzil Hi Nahi Hai,
Tujhe Pane Ki Kya Khawaish Karo Ki Aab To
Mujhe Teri Zaroorat Hi Nahi Hai,
Aab Tere Naam Se Na Koi Hothon Pe Hassi Aur
Na Hi Aankhoon Me Meri Koi Nami Hai,
Sach Kaho To Aab Iss Dil Me Tere Liye Koi
Zazbaat Baki Hi Nahi Hai