Sabvyaata Jahan Pehle Aayi~pehle Janmi Hain Jahan Pe Kala
Aapna Bhaarat Woh Bhaarat Hain Jis Ke Peechhe Sansaar Chala
Sansaar Chala Aur Aage Barha-Yuun Aage Barha Aur Barhta Hee Gaya
Bhagwaan Kare Ye Aur Barhe-Barhta Hee Rahe Aur Phoole Phale-
Hain Preet Jahan Kee Reet Sadaa -(3) Main Geet Wahan Ke Gaata Huun
Bhaarat Kaa Rehne Waala Huun Bhaarat Kee Baat Sunaata Huun
Hain Preet Jahan Kee Reet Sadaa
Kaale Gore Ka Bhed Nahee-Harr Dil Se Humaara Naata Hain
Kuch Aur Na Aata Ho Humko-Humein Pyaar Nivaana Aata Hain
Jise Maan Chuki Saari Duniya~(Main Baat -2) Wohee Dohraata Huun
Jeete Ho Kisi Ne Desh To Kya Humne To Dilon Ko Jeeta Hain
Jahan Ram Abhi Tak Hain Nar Mein Naari Mein Abhi Tak Seeta Hain
Itne Pawan Hain Log Jahan -(2) (Main Nit Nit -2) Sheesh Jhukaata Huun
Kitni Mamta Nadiyon Ko Bhi Jahan Maata Keh Ke Bulaate Hain
Kitna Aadar Insaan To Kya Patthar Bhi Pooje Jaate Hain
Uss Dharti Pe Maine Janam Liya~(Ye Soch -2) Ke Main Itraata Huun
Bhaarat Kaa Rehne Waala Huun Bhaarat Kee Baat Sunaata Huun
Hain Preet Jahan Kee Reet Sadaa