Sabse Nirali Baat Hai Mere Huzoor Ki
Beshtar Na Hogi Unse Khubsoorti Hoor Ki
Beshtar=badhkar/more Than
Aazmaaeshen Hum Lete Hain Ek Duje Ki Aksar
Woh Mere Sabr Ki, To Mein Unke Ghuroor Ki
Aadat Hai Meine Daali Sholon Ko Sehne Ki
Gunehgaar Hoon Issee Liye Sochoon Hoon Door Ki
Katake Sarr Rakhoonga Laaj Kisi Ghar Ki Salaamat
Beti Ho Woh Ganesh Ki Ya Ho Gafoor Ki
Kya Farz Hai Ke Sab Ko Mile Ek Sa Jawaab
Aao Hum Bhi Sairr Karen Koh-E-Toor Ki
Shariq-E-Hayaat Karne Gaye The Pasand Aur
Talib Ko Pasand Aa Gayee Beti Angoor Ki
Shariq-E-Hayaat=life Partner
Angoor Ki Beti = Sharaab