Sab Ke Kehne Se Iradaa Nahi Badla Jaata,
Har Saheli Se Dupatta Nahi Badla Jaata.
Hum Ke Shayarr Hai Sihasat Nahi Aati Humko,
Humse Muh Dekh Ke Lehza Nahi Badla Jaata.

Hum Fakiro Ko Fakiri Ka Nasha Rehta Hai,
Warna Kya Shehar Mein Shajra Nahi Badla Jaata.
Aisa Lagta Hai Ke Woh Bhool Gaya Hai Humko,
Abb Kabhi Khidki Ka Parda Nahi Badla Jaata.
Jab Rulaya Hai To Hassne Pe Na Majboor Karo,
Roz Bimaar Ka Nuskha Nahi Badla Jaata.
Ghum Se Fursat Hi Kahan Hai Ke Tujhe Yaad Karoon,
Itni Laashen Hai To Kaandha Nahi Badla Jaata.
Umrr Ek Talkh Haqiqat Hai Doston Phir Bhi,
Jitne Tum, Badle Ho Utna Nahi Badla Jaata.