Saat Phere To Yaad Nahii
Magar Saath Tere Aakaash Kaa Chakkar
Naa Jaane Kitni Baar Laga Chuka Hoon
Phir Bhii Main Tujhse Duur Hoon Kyun?
Jab Kabhii Saawan Ne Awaz De
Tujhe Khidki Mein Bulaaya Tha
Ussi Ghadi Baadal Ne Kare Hazaaron Phere
Phir Bhii Woh Sookha Khada Tha Kyun?
Yeh Muskaati, Itthlaati Zindaagi
Rulati Hume Sangeet Kii Thaap Per
Roj Sar Per Baithkar Ghoomti, Nachaati
Phir Bhi To Zindaagi Door Hai Kyun?
Bekaar Padey Kisson Ko Likhkwakar
Dukh Ne Bhagaaya Kuchh Itna Hein Zuada
Darwaza Bannd Apna Ker Diya Ussne
Ab Kareeb Dukh Aata Nahi Hai Kyun?
Aaj Khusi Kaa Phera Lekar Santushth Hoon
Aaj Khushi Ne Bulaaya Kareeb Mujko
Rakh Diya Uran-Khatola Darwaze Per
Keh Diya Leley Tu Phera Aasmaa Kaa Kyun?
Kyun Yeh Shabd Kyun Hamare
Mastisk Mein Baitha Hain Deemak Bankar
Maano Jaise Isne Hii Leliye Zamee Per
Zindaagi Ke Saat Phere Humse