Saat Ka Pahada To Door
Saat Tak Ki Ginti Se Pahle
Mere Saat Phere Ho Gaye
Saat Samunder Paar Ke
Saat Rango Wale Sapne
Mere Liye Satwa Aasmaan Ho Gaye
Gher Gher Khelte Hue
Khudka Gher Bas Gaya
Mitti Se Sane In Haatho Me
Mahndi Ka Rang Chad Gaya
Aankhe, Jise Dekh Sab
Kahte The Sager Si
Wo Sager Hi Ho Gayi
Kahani Sunne Ki Umer Me
Zindagi Khud Kahani Ho Gayi
Dekh Ker Dalo Pe Jhoola
Bachpan Yaad Aata Hai
Per Ye Kokh Ka Palna
Hindola Cheen Jata Hai
Aankho Me Kismat Chounk Ker
Choolhe Me Deh Ko Foonkti Hu
Rishto Se Khud Ko Ponch Ker
Kadam Apne Dhoondti Hu