Saasein Aaj Bewafaee Karne Pe Amaada Hai,
Aaina Aaj Buraee Karne Pe Amaadaa Hai.
Amaadaa= Prepared/determined.
Mere Lafzon Ne Jo Shohrat Bakshi Thi Mujhe Kabhi,
Aaj Wohi Jaghasayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Jaghasayee=make Fun In Crowd/world.
Na Jaane Kya Hua Ke Kuch Bhi Bass Mein Nahi Aaj,
Saya Bhi Apni Parayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Kuch Mohlat Nahi Milegi, Rab Se Mujhe Ke Aaj,
Khuda Bhi Apni Khudaee Karne Pe Amaadaa Hai.
Log Jo Meri Zaroorat-E-Tinke Se The Pare,
Aaj Mitti Ki Razayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Pare=dur/at A Distance, Razayee=blanket.
Bech Kar Mere Kalaam Ko Kaudi Ke Mol Se,
Yeh Log Kuch Kamayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Rahega Bass Ye Ranj-O-Gham Ke Maa Ke Pass Nahi Hoon,
Dil Mauf, Kahi Sunayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Mili Khabar, Kaza Talib Ke Sirhane Pe Khadi Hai,
Woh Takseem Kuch Mithayee Karne Pe Amaadaa Hai.
Kaza=maut/death, Sirhane=close To Head,
Takseem=distribute, Mithaee=sweets