Saansoo Se Ikhtiyaar Talab Kar Rahaa Hoo Mein
Kuch Der Tham Bhee Jaao Ki Ab Mar Rahaa Hoo Mein
Fursat Nahi Ke Zehn Ko Maail Hi Kar Sakoo
Burje-Shaoor-O-Zabt Se Ab Gir Rahaa Hoo Mein
Purze Hui Jaate Hain Mere Dil Ki Ummiideein
Hissaas Hoo Hawa Se Bhee Ab Dar Rahaa Hoo Mein
Zindaan Ka Shauq-E-Vasl Hoo, Lekin Safar Me Hoo
Apne Hi Ishtiyaaq Se Ab Phir Rahaa Hoo Mein
Nahak Hi Dil Malool Hua Hain Tu Aie “Gulam”
Kisne Tujhe Kaha Hain Ki ‘Ab Mar Rahaa Hoo Mein’
Ikhtiyaar : Permission
Maail : Turn
Burje Shaoor-O-Zabt : Peak Of Awareness And Patience
Purze : Pieces
Hissaas : Sensitive
Zindaan : Prison
Ishtiyaak : Desire