Ruswaion Mein Ajab Ik Maza Hai
Dushwarion Mein Ajab Ik Maza Hai
Kabhi Is Mefil Mein Akar To Dekho
Tanhaeion Mein Ajab Ik Maza Hai
Soraj Ko Dobhte Dekha To Samjha
Pasteon Mein Ajab Ik Maza Hai
Kabhi Ho Jo Hum Per Bhi Nazre Karam
In Inyaton Mein Ajab Ik Maza Hai
Na Hum Un Ko Samjhe Na Woh Hum Ko Samjhe
Khushfemeion Mein Ajab Ik Maza Hai
Chale Ja Rahe Hain Yu Hi Be Irada
Is Darbadri Mein Bhi Ajab Ik Maza Hai
Mil Kar Bhi Un Se Door Kitne
In Faslon Mein Ajab Ik Maza Hai
Na Kehna Koi Bewafa Un Ko Yaro
In Bewafaion Mein Ajab Ik Maza Hai
Na Hum Kuch Kahen Gay Na Who Kuch Kahein Gay
Khamosheon Mein Ajab Ik Maza Hai
Apni Hi Dhun Mein Guzari Hai Tanishq
Meri Zindagi Mein Ajab Ik Maza Hai