Rukti Zindagi, Thamti Zindagi,
Kabhi Baadh, Kabhi Tufaan Me Gum Hoti Zindagi,
Katrina, Sunami Ke Naam Hoti Zindagi,
Oonchi Imaraton(911) Se Girti Zindagi,
Khamosh Zuban Se Har Gum Ko Sahti Zindagi,
Dhoke Ki Aag Me Dha-Dhakti Zindagi
Footpath Par Gadiyon Tale Masalti Zindagi,
Pet Ki Aag Bujane Ko Machalti Zindagi,
Bikharti Zindagi, Sisakti Zindagi,
Sikko Ki Taan Par Thirakti Zindagi,
Faisale Ke Intezar Me, Adalat Ke Baahar,
Mutthii Me Ret-Si Fisalti Zindagi,
Aspatalon Ki Kataaron Me Pighalti Zindagi,
Naam Pe Dava Ke Khud Ko Chalti Zindagi,
Maayus Zindagi, Niraash Zindagi,
Amrut Ki Aad Me Zehar Peti Zindagi,
Maut Se Bhi Battar Haal Me Jeeti Zindagi,
Maa Ki Palko Se Lahoo Bankar Behti Zindagi,
Bachche Ki Tarasti Nigahon Me Rehti Zindagi,
Majboor Badan Pe Kisi Ke Hathon Ki Sar-Sarahat Zindagi,
Bhukh Aur Pyaas Se Nikali Hui Karahat Zindagi,
Badnaam Zindagi, Bad-Haal Zindagi
Khamoshi Me Bhari Ek Cheekh Zindagi,
Madh-Hosh Zindagi, Be-Hosh Zindagi,
La-Jawaab Kar Gayi Har Sawaal Zindagi.